colombia ke dur daraaz dehaton mein kokin ki kasht se pabandi utha di gai hai shumali portugal ki surkh maon ke sapne sunahre tambaku ke kheton mein jawan hote hain cheri ke jangalon ki aqbi samt se nile parinde ke sar jhatakne se pahle bans ki patri par hawa ki rail ghusse bhari siti bajati hai bhedon ke muhafiz kutte ki nind kharab hoti hai waqt ki wadi mein soi hui sadi ke wahshi honton ko mafrur lamha chum sakta hai jackdaniels ka maskh-shuda label botal ki rakh sunghta hai kasni mahbuba ki barahna pith par surmai nowel ka hath rengta hai zabt ki diwar mein paiwasta shelf ki chhati par aundhe munh pade pile aur bosida musawwadon se jism ki rumanwiyat ko jata rasta jis ki sakin aaghosh mein nazm ke cigarette-zada honton se girti nuqrai jhurriyon ke lashe ungh rahe hain sare manzar ko ek almari ghur rahi hai pankhe ki bhunbhunahat so rahi hai