hamare idrak ki sadaqat tumhaare ilzam ki najabat kabhi to tarikh ki adalat mein pesh hogi halaf uthane ki rasm se be-niyaz lamhe tamam mafluj adl-gahon ki maslahat-kesh-be-zabani lahu-faroshi ke kul dalael dafatir-e-munsifi par tahrir kar rahe hain kabhi to tarikh ki adalat mein tum bhi aaoge hum bhi aaenge tum apne sare halif lana qasida-khwanon ka majma-e-be-zamir lana khamida-sar maslahat-pasandi ke zahr-alud tir lana tum apni mangi hui shikasta si tegh lana salib lana aziyyaton ke nisab lana har ek maqtal mein dafn shoalon ki rakh lana har ek pusht-e-bashar pe tahrir wahshaton ki lakir lana kabhi to tarikh ki adalat mein tum bhi aaoge hum bhi aaenge hum apne hamrah zinda lafzon ke phul le kar har ek daman ki dhajjiyon ki dhanak mein poshida zindagi ke usul le kar hazar-ha sar-kashida kirnon ka nur le kar tamam bahnon ke aanchalon ka waqar le kar tamam maon ki loriyon ka mazar le kar yatim palkon ki shabnami aarzuon ka soz le kar hum apni un betiyon ki mangon ka husn le kar ki jin ki sindur ko khurach kar tum aaj barud ki surangen bichha rahe ho hum apni dharti ke zarre zarre mein shoala-afshan jalal le kar zarur aaenge jald aaenge wo daur ab dur to nahin hai ki waqt jab munsifi karega kabhi to tarikh ki adalat mein tum bhi aaoge hum bhi aaenge