shahr-dar-shahr, qarya-dar-qarya sal-ha-sal se bhatakta hun bar-ha yun hua ki ye duniya mujh ko aisi dikhai di jaise subh ki zau se phul khilta ho bar-ha yun hua ki raushan chand yun laga jaise ek andha kuan ya koi gahra zakhm rista hua main bahar-kaif phir bhi zinda hun aur kal sochta raha pahron mujh ko aisi kabhi lagan to na thi har jagah teri yaad kyun aai?