sapnon ke mahakte aangan mein kirnen na bikhren chahat ki khushbu ne aankh kahan kholi suni hain banhen qurbat ki lajja ke komal adhron se kab milan hua do shabdon ka kab man-sagar mein jwar utha kab chanda pighla sanson ka kab titli ne kaliyon ka ras pi kar tan ka shringar kiya kab jagi aankhon ki bhasha kab chahat ko aadhaar kiya kab barkha barsi wadon ki kab aasha ka aanchal bhiga kab phul khile kab shakh jhuki kab hua basanti tan gila kab shakh pe dhadkan ki phuta ankur qasmon ke mausam ka kab gunja dil ki basti mein sur indr-dhanush ki sargam ka kitne sawan kitne bhado jal gae samay ki agni mein kab nim mein mithe aam lage kab patthar pighla pani mein sadiyon se ab tak zinda hai dharti se ambar ki duri har sine par ankit nikli andhi rasmon ki majburi har aankh mein patjhad ka mausam har jism chita ki rakh hua chandi sona be-mol bike koi na sachchi sakh hua kis ko apna manun aakhir kis mukh par apna nam likhun ye jiwan ek kora kaghaz ab kis ko kya paigham likhun champai lal nile pile jo rang bhi dil ko bhate hain sab pal do pal ka saya hain sab mitti mein mil jate hain kuchh jiwan banjar dharti par be-maqsad jite rahte hain aur pyas nahin bujhti un ki bas aansu pite rahte hain aasha be-nam sadaqat hai sona mitti ho jata hai jo bhi milta hai duniya mein aakhir ek din kho jata hai