pas-e-KHayal

koi khwab tha ya khayal tha
wo dil-o-nazar ka malal tha

the usi ke dam se ye fasle
wahi qurb-e-jaan se nihaal tha

wahi zau-fishan tha sukhan sukhan
wahi fikr-o-fan ka kamal tha

thin usi ke nam bulandiyan
wahi aap apni misal tha

wo shua-e-mehr-e-yaqin bana
wahi iztirab-e-zamin bana

mere sar pe saya-fagan hua
wahi eatibar ka din bana

mere waste mere nam par
wahi raushni ki jabin bana

jise likh sakun main hawaon par
wo ghazal ka soz-e-mubin bana

tha wo abr-e-baran hayat ka
wo mah-e-darakhshan hayat ka

wo mila to aisa laga mujhe
ki wahi hai unwan hayat ka

meri aarzuon ka silsila
tha wahi to saman hayat ka

hui ruh zinda wajud ki
hua jism taban hayat ka

magar ab jo bikhri sadaqaten
bani khwab sari haqiqaten

koi naqsh-e-yas bujha hua
kahin sarfaraaz riwayaten

mera eatibar na chhu saka
tere iltifat ki rahaten

jo mere yaqin ka libas thin
huin be-hisar wo lazzaten

wo gaya to aisa gaya ki phir
na palat ke aaya meri taraf

na hi us ne socha kabhi mujhe
na hi sar jhukaya meri taraf

wo latif jhonka bahaar ka
jo na dekh paya meri taraf

mere dil ke arman bikhar gae
wo kabhi to aata meri taraf

ye guman hi mera yaqin hai
ki kahin bhi ruh ka ghar nahin

mere roz-o-shab ke dayar mein
kahin raushni ka guzar nahin

hai udas chand bujha bujha
koi harf harf guhar nahin

use apna main ne samajh liya
wo jahan mein apna magar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close