ye aag pani hawa ye mitti ye wahimon ki karishma-sazi ye ilm-o-fan ke tamam qisse ye aql-o-danish ki sari baaten ye sab dilase banawati hain main doston dushmanon ki zad mein hun har koi pesh-goiyon ke daraaz qisse suna raha hai meri fana se meri baqa se kisi ko koi gharaz nahin hai ki sab ko apne mafad apne currency noton ki fikr hai har koi talab aur rasad ke chakkar mein apne bhaw chadha raha hai khuli fazaon mein par samete hue parinde tahaffuz-e-zat ke qaziyyon ki khurduri soch ke darichon se aane wali saubaton ke muhib manzar dikha rahe hain ye kya hai sab kuchh ki kuchh nahin hai hawas ki dastaras se baala mere liye sab wo sadaqat hai jo mere jism ko jaan ko chhu kar guzar rahi hai ki main haqiqi mushahidon tajrabon ki bhatti mein jal raha hun ye aag pani hawa na mitti hai sirf main hun