ye jadu ki koi basti hai ya mere takhayyul ki fusun-kari ki mere samne ek daera-dar-daera phaili hui khwabon ki duniya hai jahan har aan rang-o-nur ki barsat hoti hai meri sochen mere jazbe mera ehsas ek paikar mein dhalta hai koi aawaz aati hai to meri ruh ke patal se lahren ubharti hain main apne bojh se aazad ho kar an-kahe lafzon ke baatin mein utarta hun to la-mahdud imkanat ke manzar ubharte hain