hua tulua sitaron ki dilkashi le kar surur aankh mein nazron mein zindagi le kar khudi ke hosh udane ba-sad niyaz aaya nae pyalon mein sahba-e-be-khudi le kar faza-e-dahr mein gata phira wo prit ke git nashat-khez-o-sukun-rez bansuri le kar jahan-e-qalb sarapa gudaz ban hi gaya har ek zarra mohabbat ka saz ban hi gaya jamal-o-husn ke kafir nikhaar se khela riyaz-e-ishq ki rangin bahaar se khela payambaron ki kabhi rasm ki ada us ne gwala ban ke kabhi sabza-zar se khela baha diye kabhi thokar se prem ke chashme kabhi jaman kabhi ganga ki dhaar se khela hansi hansi mein wo dukh dard jhelta hi raha karishma-baz zamane se khelta hi raha kya zamane ko mamur apne naghmon se sikhae ishq ke dastur apne naghmon se sadaqat aur mohabbat ki us ne di talim andheriyon mein bhara nur apne naghmon se latafaton se kiya arz-e-hind ko labrez kasafaton ko kiya dur apne naghmon se falak ko yaad hain is ahd-e-pak ki baaten wo bansuri wo mohabbat ki sanwli raaten dilon mein rang-e-mohabbat ko ustuwar kiya sawad-e-hind ko gita se naghma-bar kiya jo raaz koshish-e-nutq-o-zaban se khul na saka wo raaz apni nigahon se aashkar kiya udasiyon ko nai zindagi ata kar di har ek zarre ko dil de ke be-qarar kiya jo mashrab us ka na is tarah aam ho jata jahan se mahw mohabbat ka nam ho jata