sitaron ke nagar jaane ka aksar sochte hain hum tumhein apna banane ka bhi aksar sochte hain hum ufuq ke par ja kar chand tare dhund lane ki hamari aarzu dekho chalo kuchh der khud ko hum tumhaare ru-ba-ru kar den sitaron ke nagar jaane ki khwahish multawi kar den ki hum jab tum ko apne samne paen to sare bhige manzar dhire dhire khud badal jaen zamin tabdil ho kar aasman ban kar hamare sar pe chha jae ghane baadal chhaten aur sare tare dhire dhire se hamare gird aa jaen bahut se zard patte phul ban jaen aur aise mein hamare dil ki dhadkan mein nae jazbe machal jaen chalo han yun bhi achchha hai ye sarhad dil ki sarhad hai ye wadi hai mohabbat ki jahan rangon ki mahfil hai jahan khushiyon ka mela hai jahan kuchh nannhi nannhi khwahishon ka ek jhamela hai chalo ye sham yun hi saj gai hai hum sitaron ke nagar jaane ki khwahish multawi kar den ki chanda khud zamin par aa gae hain dil ke aangan mein sitare nannhi nannhi khwahishon ke saj gae hain