main kab se qaid hun batao kab se qaid hun siyah aainon ke darmiyan siyahiyon ke aafrida ye siyah-dil siyah-batn aaine ki jin ke hausle siyah hain ki jin ke walwale siyah hain ki jin ke qahqahe siyah hain siyah qahqahon se naghma-e-sukut muntashir siyah bediyon se masti-e-khiram munjamid siyah hadson se waqt-e-tezgam jaan-balab siyah kirchiyon se raqs-e-na-tamam khun-chakan siyah sazishon mein munhamik ye aaine ki jin mein mera aks-e-rukh siyah ho gaya kiran kiran siyahiyon mein gosha-gir nafas-nafas siyahiyon mein hai asir wo habs hai ki al-aman main kab se qaid hun bataun kaise kab se qaid hun siyah aainon ke darmiyan