siyahi-e-shab mujhe kuchh aisa mahsus ho raha hai ki jaise koi siyah nagin kiran ki dahliz par khadi ho agar wo bahar qadam nikale to us ko das kar halak kar de kiran andhere se itni khaif ki jaise koi hasin hirni kisi darinde ke dar se ja kar ghane darakhton mein chhup gai ho wo khauf se tharthara rahi ho ki jaise tufan se shakh kanpe wo chaaron jaanib hirasan nazron se tak rahi ho kiran hai khaif siyahi ghaalib na jaane kab tirgi kategi na jaane kab raushni milegi