meri majruh khalwat duhai pe utre bhi to kis tarah zahr-e-shar sharbat-e-khair ke zaiqe mere nutq-o-zaban ke liye waqf hain sirf sud-o-ziyan ke liye waqf hain main tasawwur ka muhtaj surat-gari se bahalta rahun zehn ke nim ujalon mein girta sanbhalta rahun halqa-e-roz-o-shab se machalti hui sari chingariyan mujh pe barsa karen bahr-e-idrak ke sab ke sab jazr-o-mad mujh pe tuta karen main nigahon mein khar-e-mughilan liye bas zaminon zaminon bhatakta rahun apne sae ko halka sa nuqta kiye anginat nim-khwabida aankhon ko takta rahun apni pahchan ke waste apni tarif mein sirf itna kahun main ikai-gazida sar-e-anjuman mere chaaron taraf be-aman ek gagan soch bin soch bin suraj bin