baadal

chalo itna to ho paya
ki tum ne baadalon ke chand tukdon ko hamare pas bheja hai

hamari pyas ki khatir zara si aas bheji hai
chatakhte aur pyase nile honton ko tasawwur mein

khayalon mein kisi be-wasl aur be-mausmi gham ki nami ka narm gila aur gulabi sa koi ehsas to hoga
jise main ne dua ki shakh se bandha hua hai ab

badan mein kuchh teri utre sisakte aur tapte dasht mein udti tadapti sar patakti ret ka ehsas mit jae
so aisa ho gaya ab

pahadon ki si sanglakhi khamoshi aur mayusi kharashon ki aziyyat mit chuki hai
tere bheje hue baadal ko chhune se

chalo itna to ho paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close