raat ek rang hai ek rag hai ek khushbu hai mehrban raat mere pas chali aaegi raat ka narm tanaffus mujhe chhu jaega dudhiya phul chambeli ke mahak uthenge raat ke sath mera gham bhi chala aaega meri chambeli ki narm khushbu mujhe to zanjir kar chuki hai ulajh gai hai kalaiyon mein mere gale se lipat gai hai wo raat ki kohar mein chhupi hai siyah-khunki mein rach rahi hai ghere patton mein sarsaraati tera badan dhundne chali hai
Please share if you liked this!!!