wahi begam ki khun-khwari jo pahle thi so ab bhi hai wahi derina bimari jo pahle thi so ab bhi hai wahi tar-tar wahi khafgi wahi ghamze wahi ishwe wahi tanon ki bimari jo pahle thi so ab bhi hai budhape mein bhi in ko shauq hain ahd-e-jawani ke lipstick ki kharidari jo pahle thi so ab bhi hai wahi hai ruthna in ka wahi maike ki hai dhamki wahi zillat wahi khwari jo pahle thi so ab bhi hai kabhi hai sas ka rona kabhi nandon se hai jhagda zaban hai in ki do-dhaari jo pahle thi so ab bhi hai faqat apne hi maike ki kiya karti hain tarifen meri aman se be-zari jo pahle thi so ab bhi hai adab ka doctor ban kar mila kya hum gharibon ko gharibi aur bekari jo pahle thi so ab bhi hai hui shadi hue bachche 'nazar' ka haal hai patla wahi ab bhi hai lachaari jo pahle thi so ab bhi hai