gungi hoti hui khamoshi sannate ki dahliz pakad kar jaane kab tak jami rahegi main wo lafz hi bhul aai hun raste mein hi gira aai hun jo tum se milne aae the jaante ho tum lafz meri dhadkan the us pal sine mein ek hashr bapa tha surkhi ka pairahan odhe mere sajile lafz wo sare sapnon ke rangin mahal mein rahne ko be-tab bahut the tum shayad kuchh kah do un se ek masum si khwahish le kar pas tumhaare aa baithe the lekin tum ne jaan hi le li un ki jite-jagte lafz wo sare zard pade bas takte rah gae aur phir is par sard barf sa lahja tumhaara lafz to jaise marne lage the dil ki dhadkan ruk si gai thi sard padti wo lashen un ki jis pal main ne sameti thin viran hote sine mein un ki qabren khodi thin aur unhen dafnaya tha jis sine mein hashr bapa tha ab sannate gunjte hain main chup le kar aai hun rose larazte hathon se ashkon mein ek bhigi hui chadar un pe chadhati hun soch rahi hun gungi hoti hui khamoshi sannate ki dahliz pakad kar jaane kab tak jami rahegi