main nazm ko nahin likhti nazm mujhe likhti hai nazm mere honton se hansti meri aankhon se roti hai main masruf hoti hun to nazm mere bistar par aaram karti hai nazm ki khwabon bhari nili aankhen mera taaqub karti hain to mera khali-pan lafzon se bhar jata hai aur jab surmai sham raat ki andheri kokh mein zina zina utarti hai to nazm yaadon ki potli khol kar baith jati hai yaaden safha-e-qirtas par phail jati hain aur phir parat-dar-parat nazm mujhe likhti hai man lo main nazm ko nahin likhti