subh hote hi

subh hote hi aath karod maskhare nikal aate hain sadkon par
aur shurua kar dete hain nach

aath karod maskhare nikal aate hain apne range chehron aur lambi topiyon ke sath
tod-phod dalte hain aasman

dhajji dhajji kar dete hain dhup
uljha lete hain hawa ki dor apne hathon mein

rasta nahin dete mayyat-gadiyon ko aur aag bujhane wale engine ko
bhar dete hain sayyare ko behuda fiqron se

aur sham aati hai
laut jate hain suraj ke sath chorus gate hue

aur raat hoti hai
aur subh hoti hai

subh hote hi aath karod maskhare nikal aate hain sadkon par
aur shurua kar dete hain nach


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close