wahi faza wahi chehre khamosh nursing-home main so raha tha ki khidki ke pas pipal se nisai nuqrai aawaz haule haule uthi badi adaon se mere qarib aane lagi sahar qarib thi suraj nikalne wala tha main chahta tha ki us saut-e-nuqrai ko chhuun magar wo laut gai payalon ke sargam mein damak raha tha sar-e-asman hasin suraj ghanere patton mein chhup kar koi ye kahta tha main wo khayal-e-haqiqat-faroz hun jis ko abhi 'salam' bhi manzum kar nahin pae