motiya se khile hue bachche pak masum narm chehron par subh ki tazgi ka nur liye lal pile sajile baston mein apni maon ka pyar bap ke khwab roz school le ke jate hain subh hoti hai phenk deta hai zard maila thaka thaka suraj pak masum narm chehron par rozi roti ki ehtiyaj ki dhul subh hoti hai kachchi basti mein roz ki tarah jag uthte hain nanhe mazdur bhole saudagar phul se hathon wale kari-gar kar-khanon mein shah-rahon par tang galiyon mein chae-khanon mein apni qismat jagane jate hain