aaj socha hai ki ehsas ko zail kar dun apne shorida irade ko apahij kar lun apni majruh tamanna ka mudawa na karun apni khwabida mohabbat ka alamnak maal apni be-khwab jawani ko sunaya na karun apne be-kaif tasawwur ke sahaare ke liye ek bhi shama sar-e-rah jalaya na karun apne be-sud takhayyul ko bhatak jaane dun zindagi jaise guzarti hai guzar jaane dun chand lamhon mein guzarne ko hai hangama-e-shab so gae jam surahi ka sahaara le kar sard padne laga ujdi hui mahfil ka gudaz thak gai gardish-e-yak-rang se saqi ki nazar chand bedar fasanon ka asar lut gaya dab gaya talkh haqiqat mein nasha ta-ba-kamar main abhi aakhiri mai-nosh hun maikhane mein dekhna kya hai meri samt badha jam badha la surahi ko mere pas shikasta hi sahi chhed tute hue taron ko karahen to zara sochta kya hai undel aur undel aur undel sard padti hui mahfil ke mukaddar pe na ja apne bedar tafakkur ki halakat pe hansun aaj socha hai ki ehsas ko zail kar dun