khabar din ke aane ki main la rahi hun ujala zamane mein phaila rahi hun bahaar apni mashriq se dikhla rahi hun pukare gale saf chilla rahi hun utho sone walo ki main aa rahi hun main sab kar-behwar ke sath aai main raftar o guftar ke sath aai main bajon ki jhankar ke sath aai main chidiyon ki chahkar ke sath aai utho sone walo ki main aa rahi hun azan par azan murgh dene laga khushi se har ek jaanwar bolta hai darakhton ke upar ajab chahchaha hai suhana hai waqt aur thandi hawa hai utho sone walo ki main aa rahi hun ye chidiyan jo pedon pe hain ghul machati udhar se udhar ud ke hain aati jati damon ko hilati paron ko phulati meri aamad aamad ke hain git gati utho sone walo ki main aa rahi hun jo tote ne baghon mein ten ten machai to bulbul bhi gulshan mein hai chahchahai aur unchi munderon pe shama bhi gai main sau sau tarah de rahi hun duhai utho sone walo ki main aa rahi hun har ek bagh ko main ne mahka diya hai nasim aur saba ko bhi lahka diya hai chaman surkh phulon se dahka diya hai magar nind ne tum ko bahka diya hai utho sone walo ki main aa rahi hun hui mujh se raunaq pahad aur ban mein har ek mulk mein des mein har watan mein khilati hui phul aai chaman mein bujhati chali shama ko anjuman mein utho sone walo ki main aa rahi hun jo is waqt jangal mein buti jadi hai so wo nau-lakha haar pahne khadi hai ki pichhle ki thandak se shabnam padi hai ajab ye saman hai ajab ye ghadi hai utho sone walo ki main aa rahi hun hiran chaunk uthe chaukdi bhar rahe hain kilolen hare khet mein kar rahe hain nadi ke kinare khade char hain gharaz mere jalwe pe sab mar rahe hain utho sone walo ki main aa rahi hun mein taron ki chhan aan pahunchi yahan tak zamin se hai jalwa mera aasman tak mujhe paoge dekhte ho jahan tak karoge bhala kahili tum kahan tak utho sone walo ki main aa rahi hun pujari ko mandir ke main ne jagaya muazzin ko masjid ke main ne uthaya bhatakte musafir ko rasta bataya andhera ghataya ujala badhaya utho sone walo ki main aa rahi hun lade qafilon ke bhi manzil mein dere kisanon ke hal chal pade munh-andhere chale jal kandhe pe le kar machhere daladdar hue dur aae se mere utho sone walo ki main aa rahi hun bigul aur tanbur sankh aur naubat bajaane lage apni apni sabhi gat chali top bhi din se hazrat salamat nahin khwab-e-ghaflat nahin khwab-e-ghaflat utho sone walo ki main aa rahi hun lo hoshyar ho jao aur aankh kholo na lo karwaten aur na bistar tatolo khuda ko karo yaad aur munh se bolo bas ab khair se uth ke munh hath dho lo utho sone walo ki main aa rahi hun badi dhum se aai meri sawari jahan mein hua ab mera hukm jari sitare chhupe raat andheri sidhaari dikhai diye bagh aur khet kyari utho sone walo ki main aa rahi hun
This is a great thandi ka mausam shayari. True lovers of top ten shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore tote dil shayari. Please share if you liked this!!!