zindagi ke dard-o-gham se jaan-ba-lab aansuon ko pi raha hun roz-o-shab dil ki hasrat thi ki gham ki kali raaton mein koi chand ban kar mere aangan mein khile par meri rahon ke sae ho gae tarik-tar lut gae sab zindagi ke ham-safar ab labon ki sarhadon par aah-o-nala ke siwa kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin sang-dil kitna hai qasr-e-zindagi ka aastan kha gaya mujh ko mohabbat ki zamin ka aasman ab nahin mere muqaddar mein koi kirnon ka phul kis janam mein ho gai thi jaane mujh se koi bhul chhin gaya meri jawani se mohabbat ka surur ruk gaya mere sanam-khana mein raqs-e-zindagi ek muflis ki bhala daulat se kaisi dosti zindagi ai zindagi tu kis jahan mein kho gai hum se na-manus hai ab chand taron ki ziya hum se na-manus hai ab bagh-e-ishrat ki faza hum se na-manus hain pairon ki bojhal bediyan hum salasil ki har ek jhankar se waqif to hain yani zanjir-o-salib-o-dar se waqif to hain ai shab-e-gham ke charagho khun-e-dil jalne to do nange pairon tez kanton par mujhe chalne to do aag dene do mujhe ahd-e-kuhan ki lash ko main mitana chahta hun har ghalat parkhash ko ruh par insaniyat ki dagh ban kar hai ayan sah raha hun main kai sadiyon se kyon sud-o-ziyan ek zara si zindagi ke waste itni saza itne tauq itni saliben itne gham itne sitam lala-o-gul ke dilon mein kuchh sunahre zakhm hain mere sine mein magar sadiyon se gahre zakhm hain ek zara si zindagi ke waste