raqs-e-mina surud-e-jam-o-subu bahki bahki bahaar ki khushbu khelti zulmaton ke sine mein marmarin raat ke safine mein jaanib-e-sahil-e-hayat rawan hasraton ki jawan angdai muskuraati si kaenat-e-rawan shokhiyan mail-e-tabassum si aur nabzen yaqin ki gum si subh-e-khandan bahaar ranai aarzuon ki jhurmuton mein hai jaanib-e-sahil-e-hayat-e-rawan teri yaadon ke aabgine mein hai meri talkh-kaamiyon ka lahu lag rahi hai suhag ki mehndi ye saman aur aankh mein aansu meri majburiyon pe ghaur to kar waqt-e-rukhsat malal-e-la-hasil ab ye dost sawal-e-la-hasil tu meri zindagi ki bhik na mang hai meri talkh-kaamiyon ka lahu teri yaadon ke aabgine mein do dilon ka milap hota hai khelti zulmaton ke sine mein zindagi maut ke safine mein kaif-o-masti ke jhurmuton mein hai jaanib-e-sahil-e-hayat-e-rawan