jaise sarabon ka pichha karte karte laq-o-daq sahra mein achanak nakhlistan mil jata hai jaise kude karkat ke dher mein khubsurat phul khil jate hain jaise tundmund darakhton par nai konplen phut nikalti hain jaise chaar su chhai hui khamoshi mein diwani koyal kuk uthti hai jaise mayusiyon aur tanhaiyon mein mahbub ki bhuli bisri yaad aa jati hai jaise kale baadalon ke pichhe se chamakta chand nikal aata hai jaise hijr ki lambi raat ke baad subh-e-visal tulua ho jati hai waise hi zindagi ka bojh sahte sahte maut ek suhana khwab ban jati hai aur khuda ki neamaton mein se ek neamat