jab us ka bosa leta tha cigarette ki bu nathnon mein ghus jati thi main tambaku-noshi ko ek aib samajhta aaya hun lekin ab main aadi hun, ye meri zat ka hissa hai wo bhi mere danton ki bad-rangi se manus hai, in ki aadi hai jab hum donon milte hain, lafzon se begana se ho jate hain kamre mein kuchh sansen aur pasine ki bu, tanhai rah jati hai! hum donon shayad murda hain ehsas ka chashma sukha hai ya phir shayad aisa hai ye afsana bosida hai dard-e-zeh se zist yunhi halkan tadapti rahti hai nae masiha aate hain aur suli par chadh jate hain ek matiyala insan safon ko chir ke aage badhta hai aur mimbar se chillata hai hum maslub ke waris hain ye khun hamara wirsa hai aur wo sab aadarsh, wo sab jo wajh-e-malamat thahra tha is matiyale shakhs ke gahre meade mein khup jata hai phir tafsiron aur tawilon ki shakl mein bahar aata hai ye tawilen majburon ka ek mauhum sahaara hain ya shayad sab ka sahaara hain yunhi mein aadarsh insan ka juya hun sab hi sapne dekhte hain khwabon mein hawa mein udte hain phir ek manzil aati hai jab phut phut kar rote hain shakhon ki tarah tutte hain ek ruh-e-jaan-o-dil ko jo duniya mein sab se badh kar hai pa lete hain phir us se nafrat karte hain go phir bhi mohabbat karte hain! main us se nafrat karta hun wo mujh ko nich samajhti hai lekin jab hum milte hain tanhai mein tariki mein donon aise ho jate hain jaise aaghushta mitti hain nafrat zam ho jati hai ek sannata rah jata hai sannata takhliq-e-zamin ke baad jo har-su tari tha hum donon tutte rahte hain jaise hum kachchi shakhen hain khwabon ka zikr nahin karte donon ne kabhi jo dekhte the khushiyon ka zikr nahin karte jo kab ki supurd-e-khak huin bas donon tutte rahte hain main baada-noshi par mail hun, wo cigarette piti rahti hai ek sannate ki chadar mein hum donon lipte jate hain hum donon tutte rahte hain jaise hum kachchi shakhen hain!