suhani subh

subh hui aur andheri bhagi
haq ki khilqat sari jagi

phulon se sab bagh hain mahke
aur pakheru uth kar chahke

kukdun kun hai murgh ke lab par
fajr hui kahta hai ghar ghar

jhilmil jhilmil kar ke tare
dil ko lubha lete the pyare

lekin wo be-chaare sidhaare
jo the falak par chand sitare

subh ko jate raat ko aate
apni jhalak hain hum ko dikhate

bas yahi un ka kaam hai bachcho
in taron se tum bhi sabaq lo

jo kuchh bhi hain kaam tumhaare
mat ghabrao un ke mare

tum ko bhi hai yun hi chamakna
dekho kaam se tum mat thakna

duniya mein tum izzat pana
daulat pana shohrat pana

kaam wo karna nam ho jis se
hasil kuchh inam ho jis se

sasti ghaflat chhodo bhai
is se kis ne izzat pai

ilm ka hai duniya mein ujala
is se pade jab tum ko pala

mehnat karna ji ko lagana
aalim ban kar izzat pana

qaum-o-watan ki karna khidmat
hai yahi daulat hai yahi rahat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close