aatish-e-be-sud mein mat kud ho kar be-khatar mat ganwa yun muft mein aazadi-e-qalb-o-jigar jab teri qismat mein bangla hai na gadi hai na zar khana-abaadi ka phir ye kyun taraddud is qadar aarzu teri baja meri nasihat hai magar ai mare hamdam khuda ke waste shadi na kar tere rishte-dar bhi hain ab tere bad-khwah dekh kar rahe hain jo tujhe subh-o-masa gumrah dekh kar raha hun waqt se pahle tujhe aagah dekh sun na walid ki nasihat apni bas tankhwah dekh chand sau mein zindagi hogi bhala kaise basar ai mere hamdam khuda ke waste shadi na kar tu ne shadi ki to mit jaega tera bankpan tu jhuka jab ghair ke aage na tan tera na man kar na yun barbaad apni zindagani ka chaman tu agar mera nahin banta na ban apna to ban ye tere jine ke din hain is liye hargiz na mar ai mere hamdam khuda ke waste shadi na kar aa raha hai roz laila-e-girani pur-shabab tel khate hain jo kal tak dekhte the ghi ke khwab aam kapda mushkilon se ho raha hai dastiyab shahr mein chini bhi milti hai to sone ke hisab ye girani tod degi ye teri dubli kamar ai mere hamdam khuda ke waste shadi na kar qaum aabaadi se pahle ho chuki hai zer-e-bar aur mat kar is bichaari ko izafe ka shikar iltawa mein dal de filhaal shadi ka ghubar is se behtar hai ki kar le murghiyon ka karobar warna biwi ke samar mein to hain poshida sharar ai mere hamdam khuda ke waste shadi na kar pesh aate hain jo bahar hukmaranon ki tarah guftugu karte hain jo rustam zamanon ki tarah ghar mein rahte hain magar wo be-zabanon ki tarah katte hain waqt apna nim-jaanon ki tarah samne begam ke un ki har badai be-asar ai mare hamdam khuda ke waste shadi na kar samne tere hai wo salon se rana ki misal ba'd shadi kya hua hai chaudhari-sahab ka haal ban gai hai shaikh-ji ke waste shadi wabaal aur yahi janjal hai mere liye wajh-e-zawal dal hum bad-bakht insanon pe ibrat ki nazar ai mere hamdam khuda ke waste shadi na kar ghar mein jab aati hai to khunkhar ban jati hai ye ek mujassam shoala-e-paikar ban jati hai ye sang banti hai kabhi talwar ban jati hai ye aadmi mazdur aur kharkar ban jati hai ye al-aman-o-al-ghayas-o-al-hafiz-o-al-hazar ai mere hamdam khuda ke waste shadi na kar