dawa se kuchh na hua aur dua se kuchh na mila bashar ne kuchh na diya aur khuda se kuchh na mila zawal mera muqaddar bana ke chhod diya mujhe khyal-o-hadis-e-baqa se kuchh na mila main dard-o-dagh-e-yatimi mein yun raha mahsur pidar se kuchh na mila mamta se kuchh na mila jahan-e-ilm-o-hunar mein to sarfaraaz raha dayar-e-shauq mein meri wafa se kuchh na mila main apne aap mein jhanka to ye sada aai khudi se kuchh na mila aur ana se kuchh na mila kisi ne dida-e-bina ki raushni le li kahun main kis se teri is ada se kuchh na mila main khali hath chala aa raha hun teri taraf tujhe batane ki teri ata se kuchh na mila tere jahan se khamosh chal diya 'masud' nawa-e-sher ko is be-nawa se kuchh na mila