sukhe honT

sukhe hont jab pyas ki zaban mein baat karte hain
to ummid ki shakh par aati hai pahli patti

hota hai
pahli bar mohabbat sunne jaisa ehsas

sukhe hue hont
muskurahat mein baadal ki tarah phat jate hain

tahas-nahas ho jata hai lafzon ka shahr
nahin sunai deti jism ki pukar

apna sa koi
phail jata hai aasman se zamin tak

chhune ki khwahish os ban jati hai
milne ki khwahish dhup

ehsas ke dariya mein bahta rahta hai insan
sukhe honton ke sath bhi

zindagi ko tar karta hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close