aaj ki raat saz-e-dard na chhed dukh se bharpur din tamam hue aur kal ki khabar kise malum dosh-o-farda ki mit chuki hain hudud ho na ho ab sahar kise malum zindagi hech! lekin aaj ki raat ezdiyyat hai mumkin aaj ki raat aaj ki raat saz-e-dard na chhed ab na dohra fasana-ha-e-alam apni qismat pe sogwar na ho fikr-e-farda utar de dil se umr-e-rafta pe ashk-bar na ho ahd-e-gham ki hikayaten mat puchh ho chukin sab shikayaten mat puchh aaj ki raat saz-e-dard na chhed