mahsur hun pani se main par tishnagi se chur hun mera wajud ek jam hai jam-e-tahi khandan hain jis ke chaar-su mai se bhare mina subu pahli kiran phuti ki ek karb-e-nihan jag uthta hai leta hua angdaiyan din jaise jaise hota jata hai jawan jwala-mukhi sa khaulne lagta hai sine ka lahu main ek sulagti aarzu main ek tapti zindagi pahna-e-imkanat mein jaulan bagulon ki tarah sar-gashta apne hi khayalon ke hayulon ki tarah khanjar chalati hai mere paikar pe baad-e-atishin main ek gada shadabiyon ke chand tukdon chand sikkon ke liye daman pasare ruh ka leta hun farsh-e-khak par kab se mujhe khud bhi nahin koi pata nakhlon ki thandi chhanw ka pyasa hun main apne wajud-e-khushk ka hun nauha-khwan lekin meri palkon pe aansu tak nahin ai baadalo bach-bach ke jate baadalo pani na do aansu to do