sukun-e-tanhai

kunj-e-tanhai mein hum aise pareshan bhi nahin
koi mahrumi-e-yaran bhi nahin

tere jaane se akela to hua hun lekin
tere jaane se mera dard farozan bhi nahin

tu ne chhoda to zamane se bhi rishta tuta
ishq ka gham hai koi ab gham-e-dauran bhi nahin

dil ko samjhata hun karte ho shikayat kis se
mehrban hoga koi is ka ab imkan bhi nahin

ghar ki khamoshi fazaon mein udasi hai magar
is udasi mein koi wahshat-e-viran bhi nahin

tu jo aaya meri duniya mein talatum aaya
tu nahin hai to mera chaak gareban bhi nahin

kaisi takrar hai hujjat hai shikayat kaisi
is kahani mein koi zud-pasheman bhi nahin

bais-e-dard hui qurbat-e-yaran aksar
ab mujhe aarzu-e-sohbat-e-jaanan bhi nahin

phir se karna hai safar mujh ko nai rahon par
nai manzil ke liye rah-e-gulistan bhi nahin

tere hi dam-e-mohabbat mein giraftar raha
mahfil-e-ghair mein ummid-e-mehrban bhi nahin

tajrabon ne ye sikhaya hai ki hasti mein 'amir'
marham-e-zakhm nahin dard ka darman bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close