jahan na saya-e-mazi kahin nazar aae jahan na fikr ho farda ki koi daman-gir na dost ho na shanasa na koi dushman ho kisi ki ambari-zulfon ka main nahin hun asir safar jo ho to koi karwan na rahbar ho na manzilon ke liye ho talash daman-gir ho dasht mera makan aur koh diwaren ho saeban ki tarah sar pe aasman-e-dabir na yun hayat ho fikr-e-maash se bezar ki jaise panw mein hoti hai qaid ki zanjir na bad-zani ki ho kulfat na dar saza ka ho na iltija-e-karam se karun main khud ko haqir agar main sikh lun qudrat se zindagi ka chalan ye barg phul hawa bas yahi hon mere mushir kabhi jo nind na aae daraaz raaton mein falak ke raaz sunaen mujhe falak ke safir na khwab aaen meri nind itni gahri ho sahar ko hajat-e-tafsir-e-khwab ho na 'amir'