wo ki jis ke dam se har ek zarre ke rag-e-jaan mein hararat bhara lahu rawan tha wo jo ta-dam-e-hayat sarsar ko saba kahne se gurezan tha jis ke pur-soz tarannum se hasin wadiyon mein lafzon ki khushbu bikhar rahi thi wo ki jis ke lafzon ki hararat se zindan ki salakhen pighal rahi thin shafaq ki rangat badal rahi thi wo ek jiyala mujahid-e-haq ye soch hum ko de gaya hai tamam mahlon ki raunaqon se jhonpadi ki siyah raaten hazar guna sukun tar hain hazar guna sukun tar hain