rafta rafta muaf karne ka chalan maddham padta ja raha hai kya tumhein yaqin nahin ki badalte hue lamhon ki chakki mein akhlaqiyat riwayat aur qadren pis rahi hain aaj hamara muashra be-ghairati ke us sangam par khada hai jahan aurat ki pakiza kokh kirae par lene ke liye saud-e-bazi ho rahi hai hamari be-hisi ne hamare labon par khamoshi ki mohr sabt kar rakhi hai to ai ahl-e-dil kal kya hoga jab muafi mangne ka chalan khatm ho jaega