main jab bhi sochta hun apne bare mein koi quwwat mujhe mere mukhalif khinchti hai mujhe mahsus hota hai mera har uzw markaz se baghawat kar chuka hai khun ke dauran ke ham-rah baktar-band gadi mein musallah faujiyon ke sath koi qaid ho kar ja raha hai khul gae hain sab masham-e-jaan ke phatak khadi hain sar jhukae saf-ba-saf haare hue alfaz ki faujen koi is shahr ki tahzib le kar ja raha hai