dakiya sare jahan ki khabren le kar aata hai magar mere liye kitni aawazen mere sath chala karti hain kabhi man bap ke rone ki sada kabhi ahbab ke phatte hue juton ki dukhan kabhi duniya ke chatakhte hue aaza ki pukar subh-ta-sham wahi ek shab ka aahang dar o diwar pe udti hui rahon ka ghubar rakh-dani mein wahi saikadon sochon ka dhuan chae ki pyaliyan phenke hue lamhat ko liptae hue shelf mein dubke hue zehn ke na-pokhta-nuqush mez par nisf khaton ka ambar kaun jaane unhen tahrir ki fursat kab ho?