sun-bath

tumhaare hath ki khushbu
mere uljhe hue baalon se lipti hai

tumhaare lams ka har zaiqa mahfuz hai ab tak
meri poron ke honton par

badan par ghas ke patton ne rasta rok rakkha tha
pasine ki lakiron ka

meri bhigi hatheli ke tale
khwahish badan mein kapkapati thi

to jaise jhil ke sahil pe thahri kashtiyan
athkheliyan karte hue pani pe

halkore se leti thin
tumhaare jism pe ugti sunahri ghas mein

jab jab hawaen sarsaraati thin
to meri ridh ki haddi mein sarkande lachakte the

badan se dhup ka makhmal utha kar
hawaen surmai baadal ke pichhe phenk aati thin

to hum sukhe hue patton ki chadar odh lete the
wo ek lamha ki jis mein chaar mausam aur do hum the

wahin par hai
abad ki jhil ke azali kinare par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close