khamoshi se dabe panw bhari mahfil se uthte ho khule aakash ke niche kahin par baith jate ho phir apna hath haule se badhate ho chamakte chand ki jaanib kabhi to muskuraate ho kabhi kuchh gungunate ho jo 'mir'-o-'dard' ki ghazlen kabhi hum ko sunate the wahi sargoshiyan mujh se jo aksar karte rahte the hawa ke dosh par baithi kiran se karne lagte ho suna hai be-qarari mein tahalte ho kabhi chhat par kabhi har aks mein mera sarapa dhundhte ho tum hawaon mein meri khushbu kabhi mahsus karte ho kabhi be aas ho kar phir zamin par baith jate ho bahut fariyaad karte ho mujhe hi yaad karte ho magar ye sari baaten to mahz khwabon ki baaten hain khuli jab aankh meri to nazara aur hi dekha koi paigham aaya tha hamare nam aaya tha likha tha us mein dekho na ki ab ki chand jo nikla use nazdik se dekha use mahsus kar paya mukammal pa liya us ko jo shah-rag mein machalta tha mubarakbaad to de do wo mera ho gaya ab ki suna hai chandni-raaton mein tum bhi so nahin pati tu ab ki chain se sona ki ab main bhi nahin jagta