sunahri pinjra

khub hai ye chandi ka pinjra
is mein tu aa munni si chidiya

pinjre mein hai sone ki pyali
is mein tu khana dana pani

pahle khilaunga tujh ko dana
khaunga phir main apna khana

thanda pani dunga tujh ko
thandi hawa mein rakhunga tujh ko

billi ke panjon se bacha kar
tujh ko tangunga khunti par

chidiya
sun ke ye baaten chidiya boli

karte ho baaten kaisi bholi
main nahin is pinjre mein aati

qaid nahin ye mujh ko bhati
hain sone ki pyali se achchhe

dariya nadi nale hamare
pyas hai mujh ko jis dam lagti

pani par hun aan utarti
piti hun pani aur nahati

phur se hun main phir ud jati
sone ki thaali mein kya hai

khak pe mera choga uga hai
paida kiye hain khet khuda ne

chugti hun is se taza dane
chandi ke pinjre se badh ke

mere liye hain chand aur tare
hai mera allah mera nigahban

mujh ko bachata hai wo har aan
ab rakh do pinjre ko thikane

jati hun main choga chugane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close