kaho ki raat nadan hai ajab se khwab bunti hai kaho ki chand aadha hai bahut bechain dikhta hai kaho ki sard mausam mein zara si garm chahat hai kaho ki nam ulfat ka mere nazdik baitha hai kaho ki yaad paiham si zara sa shor karti hai kaho ki dil machalta hai zara ranjur karta hai kaho ki sard sansen bhi ajab taskin deti hain kaho ki nam us ka bhi hatheli par likha hai ab kaho sab kuchh wo jo tum ko bahut pahle hi kahna tha kaho sab kuchh magar dil ke sitare pas hi rakhna agar ye tut jaen to bahut taklif hoti hai bahut taklif hoti hai