ek nazm

abhi ghair-dilchasp ho jaenge hum
abhi tum kahoge

ki be-kar hai guftugu ka bahana
abhi main kahunga

ki be-kar hai karobar-e-zamana
abhi tum zaban par

sulagti hui ret ka zaiqa chand lamhon mein mahsus karne lagoge
abhi main zaban par

koi khubsurat farishta-sifat nam tanhaiyon mein nahin la sakunga
abhi zehn bimar ho jaenge sab

falak tak pahunchte hue hath be-kar ho jaenge sab
bhale ya bure hum abhi hain salamat

abhi tutne ko hai lekin qayamat
agar marg-e-ehsas ki aarzu aakhiri qadr thahri

abhi ek be-jaan mazi ke sahra mein kho jaenge hum
abhi ghair-dilchasp ho jaenge hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close