ye log mujh ko bata rahe hain hamari aankhen bahut hain raushan ye barq jaisi chamak rahin hain ki jugnun ki tadap ruki ho hai be-qarari ghazal jaisi khumar ki si hai kaifiyat bhi dhanak ke jitne bhi rang honge hamari aankhon mein bas gae hain magar ai jaanan unhen bataun main kis tarah se ye jagmagati ye jhilmilati si meri aankhen khumar se pur ghazal jaisi tumhaare khwabon ke rang le kar amin hain kitne rat-jagon ki ye surkh aankhen talash mein jo bhatak rahi hain shuaen rangon ki chhat rahi hai suno na jaanan ye log mujh ko bata rahe hain ki meri aankhen bahut hai raushan