khabt mujh ko shaeri ka jab hua das minute mein sath ghazlen kah gaya sab se ro ro kar kaha sun lo ghazal taki main ho jaun phir se normal rahm apnon ko na aaya jab zara to pareshan ho ke hotel mein gaya taki mil jae ek aisa aadmi chae pi kar jo sune ghazlen meri ja ke baitha sat ghante jab wahan ek muazzaz shakhs aae na-gahan dekhte hi ho gaya dil bagh bagh ab to hoga pet halka aur dimagh baad-az-adab aur taslim ke main ne un se ye kaha tazim se aaie taklif itni kijiye chae mere sath hi pi lijiye aa ke baithe sath jab ki iltija aap ka jo hukm ho mangwaonga muskura kar phir to bole aan-janab murgh yakhni qorma nargis kabab shirmal o shahi tukda ferni aur agar mil jae to churan koi toss makkhan dudh kafi raita al-gharaz jo kuchh kaha mangwa liya nak tak jab kha chuke main ne kaha ho taaruf ab hamara aap ka nam hai 'asrar' mera mohtaram sari duniya jaanti hai besh-o-kam shaer-e-azam hun main izzat-maab wo ye bole main to bahra hun janab