ai dil pahle bhi tanha the, ai dil hum tanha aaj bhi hain aur un zakhmon aur daghon se ab apni baaten hoti hain jo zakhm ki surkh gulab hue, jo dagh ki badar-e-munir hue is tarha se kab tak jina hai, main haar gaya is jine se koi abr ude kisi qulzum se ras barse mere virane par koi jagta ho koi kudhta ho mere der se wapas aane par koi sans bhare mere pahlu mein koi hath dhare mere shane par aur dabe dabe lahje mein kahe tum ne ab tak bade dard sahe tum tanha tanha jalte rahe tum tanha tanha chalte rahe suno tanha chalna khel nahin, chalo aao mere ham-rah chalo chalo nae safar par chalte hain, chalo mujhe bana ke gawah chalo