kuchh log ye kahte hain ki achchha ya bura kuchh bhi nahin hai taqrib-e-wiladat ho ya hangam-e-dam-e-marg ek lamhe ko taswir mein dhalna hai wo dhal jata hai aakhir wo naghma ho ya girya ya andaz-e-takallum sab aks hain asrar-e-fusun-kar ke shayad yaksan hain mukafat ki yurish mein sabhi rang sargoshiyan karte hain guzar jate hain aankhon ke jahan se paimana-e-jaan se kya jhut hai kya sach hai kise kaun batae sab shor-e-salasil mein utar aae hain kuchh soch rahe hain taswir ke do rukh the kabhi sunte hain ab lakh hue hain insan ya haiwan ya be-jaan koi nam nahin hai ek raqs-e-tamawwuj hai shabihon ka hayyulon ka sadaon ka faramosh dilon ka is rah se guzre the tumhein rok liya apna samajh kar baaten bhi huin tum ko zara der ko sine se lagaya aankhon mein dil o jaan mein basaya jaoge tumhein jaana hai malum tha mujh ko sach ye hai ki tanwir-e-mulaqat se raushan tha ye lamha sach ye hai ki sar-e-rah charagh us ne jalaya sach ye hai ki be-sakhta jazbaat se raushan tha ye lamha imroz ye mera tha, magar meri dua hai ye lamha hum donon ke imkan ka mehwar kal bhi ye kare donon ko hum donon ko sarshaar munawwar