dard ki lazzat se na-waqif khushbu se manus na tha mere ghar ki mitti se wo shakhs bahut begana tha tare chunte chunte jis ne phul nazar-andaz kiye khwab kise malum nahin hain lams kise mahbub nahin lekin jo tabir na jaane us ko ungh bhi lena aib raat ki qimat hijr mein samjhi jis ne aansu nur bane zakhm se uthne wali tisen os ki thandak piti hain aaj na puchho dukhne lagi hai surme se kyun us ki aankh jis ko sunahre din ka suraj kirnen bantne aata tha patthar aakhir patthar hoga surma ho ya tara ho