santan hanse to kaise hanse is waqt hai mata khatre mein sansar ke parbat ka raja hai apna himala khatre mein hai samna kitne khatron ka hai desh ki sima khatre mein ai dost watan se ghat na kar is waqt ghazal ki baat na kar mehndi hui pili kitnon ki sindur lute hain kitnon ke hain chudiyan thandi kitnon ki arman jale hain kitnon ke is chin ke zalim hathon se sansar phunke hain kitnon ke muskan ki tu barsat na kar is waqt ghazal ki baat na kar mat kat kapat kar mata se dena hai jo kuchh iman se de ye parashn watan ki laj ka hai ji khol ke de ji jaan se de gauraw ki hifazat kar apne de dhan bhi to pyare aan se de tu dan na de khairaat na kar is waqt ghazal ki baat na kar jis ghar mein barasta tha jiwan chhai hai wahan par virani bewa huin kitni sundariyan mare gae kitne senani kyun josh nahin aata tujh ko hai khun ragon mein ya pani aazadi ke din ko raat na kar is waqt ghazal ki baat na kar sunte hain musibat aaegi aaegi to dekha jaega jis ne hamein kayer samjha hai us desh se samjha jaega har shokh ada se khel chuke ab khun se khela jaega aise mein hamein be-hat na kar is waqt ghazal ki baat na kar ab band pe gaya jaega ye saz na chhede jaenge le rakh de thikane se ye ghazal marne se bache to gaenge hai sath hamare sachchai hum pa ke wijay muskaenge jiti hui bazi mat na kar is waqt ghazal ki baat na kar