ghar se nikalte hi meri pith se chipak jati hain do aankhen gali par karte karte bis aankhen bas stop tak pahunchte pahunchte do sau aankhen metro station ki sidhiyan chadhte chadhte do hazar aankhen coach mein apni seat pakadte pakadte bis hazar aankhen chipak jati hain mere pure badan se aur main dab jata hun hazaron aankhon ke ek pyramid ke niche badi mushkil se khud ko khada karte hue jhatakta hun main apne sar aur donon hathon ko aur pure coach ke farsh par bikhar jati hain aankhen hi aankhen ye chhoti badi aankhon ki chitkabri machhliyan apne tez nukile dank liye badhti hain meri taraf aur main bhagta hun musalsal pichhe ki taraf jaise sharp shooter ko dekh bhagta hai koi target musalsal pichhe ki taraf bhagte hue main mangta hun dua aakhiri coach ki diwar tak pahunchne se pahle aa jae koi station khul jae koi darwaza aur main jhatke se kud kar pa sakun najat magar station aane par metro ka darwaza bhi ghalat disha mein khul gaya hai jidhar nazar ki had tak sirf ek lamba platform hai jahan jagah jagah par chhoti badi aankhen jadi hui hain magar kud jaane ke liye koi patri nahin hai